From me....
To you...
1. Likh rahe hai dastaan dil ki
Padkar naraaz na ho jaana,
Ji rahe hai aaphi ki yaadon mein
Aap kahi humko bhool na jaana.
2. yaadein teri har waqt
is dil ko rula deti hai
guzare huye har lamho ko
ankhon ke saamne la deti hai
3. Dil lene waale kabhi
Apna dil bhi diya karo,
Pyaar koi khel nahi hai,,
Isse samajhdari se kiya karo
4. gumnaam raahon me kho jate
agar tera saath na hota,
nafrat ki galion me khoye rehte
agar tera pyaar na hota,
5. Dil humne tumko diya hai
Isse paraya na samajhna
Tod jaoge to ye bikhar jayega
Isse khilona na samajhna
6. afsaane ban jaate hai wo
jinse humko aitbaar hota hai,
itne kareeb rehte hai harpal
phir bhi unka intezaar hota hai,
7. Na ye kar paau na wo kar paau
Dil kahi nahi lagta ab mera,
Ye kaisi musibat hai yaaro
Pyar ne humko chaaro taraf se ghera
8. labz agar khamosh hai,
to samajna, dil me koi baat hai
aankhen agar jhuki ho to
samajna yehi pyaar ki shuruwaat hai
9. Khuda kare ki ishq ki gallion me
Sada aapse mulakat hoti rahe,
Aap rahe humare chaukhat par
Aur aakhon hi aakhon me baate hoti rahe
10. pyaar ki baate karke log
har kisiko fasa dete hai,
umra bhar hasa kar bhi
anth me wo rula dete hai
11. Tumhara pyaar is dil par
Ek ehsaas jagata hai,
Rahenge hum ekduje ke waaste
Ye sapna harpal sajata hai
12. kho kar tumhari yaadon mein
tumhe dil me basaya tha
par tumhare pyaar ne
hume har lamha sataya tha,
13. Rishta agar kuch khaas ho
To dil se nibhana accha hai ,
Tute huye har ek dil ko
Jodkar apna na aacha hai
14. shikwa nahi ki tumne humse
kabhi pyaar na kiya
gila bas is baat ka hai
ki humari dosti ko bhi kabhi Swikaar na kiya
15. Tere ek ishare par mein
Saari duniya qurbaan kar du
Mera bas chale to
Apni zindagi tere naam kar du

Recommend